ZNMD - Dil aakhir tu kyun rota hai...

Nice poetry by Farhan Akhtar in Zindagi Na Milegi Dobara  

Jab jab dard ka baadal chhaya,
Jab gham ka saya lehraya,
Jab aansoo palkon tak aya,
Jab yeh tanha dil ghabraya,
Humne dil ko ye samjhaya,
Dil aakhir tu kyun rota hai...........

Duniya mein yunhi hota hai,
Yeh jo gehre sannaate hain,
Waqt ne sabko hi baante hain,
Thoda gham hai sabka kissa,
Thodi dhoop hai sabka hissa,
Aankh teri bekaar hi nam hai,
Har pal ek naya mausam hai,
Kyun tu aise pal khota hai,
Dil aakhir tu kyun rota hai......

No comments:

Post a Comment

Read latest movie reviews, comments and upcoming movies before you spent your time and money on movies.